Main Bas Likhna Chahta hoon: A poetry
Hey all,
Almost one and half month before I wrote a poetry. As the title suggests its about my desire to just write.
Please enjoy the poetry, the discussion and inspirations will be discussed in some other post.
MAIN BAS LIKHNA CHAHTA HOON…
Main nahi janta ki kya likhun, Main bas likhna chahta hoon,
likhna isliye ki main lafzon ko aakar de sakoon,
Apni soch ko dekh sakoon,
Main tumhare baare mein likhe shabdon ke zariye tumhe mehsoos karna chahta hoon,
Main bas likhna chaahta hoon.
Main nahi jaanta ki meri zindagi mein tumhara astitva kitna hai,
Hai bhi ya nahi,
Main ye bhi nahi jaanta ki tumhare jaane ke bad mera kya hoga,
Bas main tumhe sochna chahta hoon,
Bas tumhe jeena chahta hun apni smritiyon mein, apne man mein,
Main bas likhna chaahta hoon.
Main nahi jaanta ki mujhe tumhaare saundarya ne mohit kiya hai ya tumari aawaaz ne,
Main nahi jaanta ki hamaare beech kuch hai ya nahi, Kuch ho bhi sakta hai ya nahi,
Main bas mehsoos karna chahta hoon tumhe apni kalam ke jariye,
Main apne man ki gahraaiyon me jhaankkar tumhe dekhna chahta hoon,
Main bas likhna chaahta hoon.
Main nahi jaanta ki mera ye safar kab tak chalega, Kabhi khatm hoga bhi ya nahi,
Main nahi jaanta ki mere is safar ki manzil kya hai, Manzil hai bhi ya nahi,
Main bas tumhe apne saath chalte dekhna chaahta hoon,
Main apne har kadam par tumhaare sahaare ko mahsoos karna chahta hoon,
Main bas likhna chaahta hoon.
Main nahi jaanta ki meri zindagi me abhi kitne sukh aur bache hain,
Sukh bache bhi hain ya sirf tapti dhoop aur ret hi milegi zindagi bhar,
Bas main mere chhalon par tumhara sparsh chahta hoon,
Main, main na rahkar tum sa ho jaana chahta hoon,
Main bas likhna chaahta hoon.
Main nahi jaanta ki main tumse kabhi ye kah paaoonga ya nahi,
Par main tumhaari yaadon mein bas sona chaahta hoon,
Main apne sapno mein bas tumhe dekhta hoon,
Aur yahi sapna zindagi bhar dekhte rehna chaahta hoon,
Main bas likhna chaahta hoon.
KMP 12/04/2021
Comments
Post a Comment